Ghar Hai To Dar Bhi Hoga Diwar Bhi Rahegi
ghar hai to dar bhi hoga diwar bhi rahegi
zanjir bhi hilegi jhankar bhi rahegi
tarikiyon ke qalb-e-tarik-tar mein DhunDo
ek shama mawara-e-anwar bhi rahegi
behtar tha be-ruKHi ka izhaar yun na hota
mana ki kuchh to wajh-e-inkar bhi rahegi
jis aankh ko chhupa kar rakkha hai har nazar se
wo nim-wa bhi hogi bedar bhi rahegi
sahra talab ka goya maidan-e-karbala hai
panw mein ret sar par talwar bhi rahegi
qurbat ki saaton mein duri ka KHauf hoga
sae se raushni ki paikar bhi rahegi
zahir hai sadgi bhi 'almas' ke suKHan se
lekin ghazal ki fitrat pur-kar bhi rahegi
(797) Peoples Rate This