Chura Ke Mere Taq Se Kitab Koi Le Gaya
chura ke mere taq se kitab koi le gaya
meri tamam umr ka hisab koi le gaya
ye waqia hai jab luTi mere chaman ki aabru
larazti shaKH rah gai gulab koi le gaya
wahi to ek zariya-e-najat mere pas tha
magar mere zamir ka sawab koi le gaya
sawal ban ke ru-ba-ru khaDi hui thi zindagi
mera lahu nichoD kar jawab koi le gaya
mere badan mein chubh rahi thin suiyan si raat bhar
sahar hui to lutf-e-iztirab koi le gaya
chhupa liya hai main ne sara dard apni ruh mein
tasalliyon ka zahiri naqab koi le gaya
(855) Peoples Rate This