Sanson Ko Karb Zist Gham-e-be-panah Ko
sanson ko karb zist gham-e-be-panah ko
kis kis ko mutmain main karun KHwah-maKHwah ko
suraj ke par dekh sako gar meri tarah
tab ja ke paoge meri hadd-e-nigah ko
main is fareb-gah mein wo aadam-gazida hun
DhunDe hai jo andheron mein ja-e-panah ko
apna na main hua to bhala kaun hai mera
apnae kyun koi kisi gum-karda-rah ko
main hadson ki bhiD mein tanha khaDa hua
aawaz de raha hun kisi KHair-KHwah ko
saya bhi ham-qadam na mera ho isi liye
KHatir mein laya main na kisi intibah ko
(971) Peoples Rate This