Karb Wahshat Uljhanen Aur Itni Tanhai Ki Bas
karb wahshat uljhanen aur itni tanhai ki bas
jaane kyun taqdir ne li aisi angDai ki bas
jab kabhi bhule se bhi aaina dekha tere baad
apni hi surat mein wo surat nazar aai ki bas
toDne jab bhi chala zindan-e-ab-o-gil ko main
jaani-pahchani hui aawaz ek aai ki bas
chilchilati dhup gham ki hadson ke saeban
soch ka tapta ye sahra aur ye purwai ki bas
kash na-bina hi rahta is muqar-KHana mein
tohfatan duniya ne di hai aisi binai ki bas
nochti kab tak rahengi yun barahna KHwahishen
ta-ba-kai hoti rahegi aisi ruswai ki bas
main hun ai 'hamdun' ek zinda giraftar-e-lahad
apni hi taqdir se Thokar wo hai khai ki bas
(741) Peoples Rate This