Yaqin Kaise Karunga Guman Mein Rahta Hun
yaqin kaise karunga guman mein rahta hun
charagh hun kisi andhe makan mein rahta hun
chahaar samt ujala hai mere hone se
main har taraf hun magar darmiyan mein rahta hun
mujhe talash karo mujh se guftugu kar lo
mein apne harf mein apne bayan mein rahta hun
haqir sa mera kirdar hai kahani mein
misal-e-gard kahin karwan mein rahta hun
sada bhi apni hi aati hai mere kanon mein
jahan bhi rahta hun apne guman mein rahta hun
na subh koi yahan aur na sham hai apni
kisi se kaise kahunga kahan main rahta hun
na baam-o-dar hain na diwar hai koi jis ki
main aaj-kal kisi aise makan mein rahta hun
mujhe bhi yaad karega kabhi koi 'hamdam'
kahin to main bhi kisi dastan mein rahta hun
(1251) Peoples Rate This