Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a116fc9a6d66e2d23be6c60174247927, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wahm Koi Guman Mein Tha Hi Nahin - Hamdam Kashmiri Poetry In English - Darsaal

Wahm Koi Guman Mein Tha Hi Nahin

wahm koi guman mein tha hi nahin

naqsh apna nishan mein tha hi nahin

mujh se mansub ho gaya kyun kar

wo jo mere bayan mein tha hi nahin

log kaise mera yaqin karte

jhuT mere bayan mein tha hi nahin

chor aaya gaya bhi KHali hath

main to apne makan mein tha hi nahin

bas purani ghisi-piTi baaten

rang taza bayan mein tha hi nahin

phiki phiki bahaar guzri hai

rang apna KHizan mein tha hi nahin

hum ne sun kar bhi an-suni kar di

kuchh tassur azan mein tha hi nahin

mere sar ke liye jo ho mauzun

sang wo aastan mein tha hi nahin

der se KHamushi hai KHema-zan

shor kya karwan mein tha hi nahin

aa raha tha zamin ki jaanib

waswasa aasman mein tha hi nahin

(780) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahm Koi Guman Mein Tha Hi Nahin In English By Famous Poet Hamdam Kashmiri. Wahm Koi Guman Mein Tha Hi Nahin is written by Hamdam Kashmiri. Read famous Poem Wahm Koi Guman Mein Tha Hi Nahin for youth and Student by Hamdam Kashmiri. Free Download Wahm Koi Guman Mein Tha Hi Nahin in PDF.