Kaam Aasan Hai Magar Dekhiye Dushwar Bhi Hai
kaam aasan hai magar dekhiye dushwar bhi hai
aage darwaze ke rakkhi hui diwar bhi hai
dene wale se mujhe koi shikayat kyun hai
rah mein dhup bhi hai saya-e-ashjar bhi hai
qatl kar ke jo mujhe sae mein phenk aaya hai
log kahte hain wahi mera taraf-dar bhi hai
tujh ko bas apni hi taswir nazar aati hai
aaine mein kahin hairat kahin zangar bhi hai
kyun bhala waqt ka nuqsan karoge pyare
jo yahan ab hai tamasha wahi us par bhi hai
mere aaba se mujhe kya na mila hai 'hamdam'
taq mein dekhiye mushaf bhi hai talwar bhi hai
(865) Peoples Rate This