Ek Qatra Na Kahin KHun Ka Baha Mere Baad
ek qatra na kahin KHun ka baha mere baad
zang-alud hui tegh-e-jafa mere baad
kyun har ek moD pe hota hai ghuTan ka ehsas
tang kyun hone lagi meri faza mere baad
dekhte dekhte hi mand paDe shams-o-qamar
KHud se bezar hue subh-o-masa mere baad
har taraf zardi-e-ruKHsar nazar aati hai
kahin raushan na mila rang-e-hina mere baad
ruk gaya qafila-e-umr-e-subuk-rau shayad
dekh KHamosh hai aawaz-e-dara mere baad
zindagi bhar na kiya yaad kisi ne aur ab
puchhte hain wo mere ghar ka pata mere baad
umr bhar us ko sambhaale hue rakkha main ne
gir na jae kahin diwar-e-ana mere baad
ab bhi kya is mein hai aabaad syahi 'hamdam'
mere virane ka kya haal hua mere baad
(814) Peoples Rate This