Zindagi Ko Na Bana Len Wo Saza Mere Baad
zindagi ko na bana len wo saza mere baad
hausla dena unhen mere KHuda mere baad
kaun ghunghaT ko uThaega sitamgar kah ke
aur phir kis se karenge wo haya mere baad
phir mohabbat ki zamane mein na pursish hogi
roegi siskiyan le le ke wafa mere baad
hath uThte hue un ke na koi dekhega
kis ke aane ki karenge wo dua mere baad
kis qadar gham hai unhen mujh se bichhaD jaane ka
ho gae wo bhi zamane se juda mere baad
wo jo kahta tha ki 'nasir' ke liye jita hun
us ka kya jaaniye kya haal hua mere baad
(4311) Peoples Rate This