Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_96c4186cfe7a0df78880f4762acf2b0a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mai-kashi Gardish-e-ayyam Se Aage Na BaDhi - Hakeem Nasir Poetry In English - Darsaal

Mai-kashi Gardish-e-ayyam Se Aage Na BaDhi

mai-kashi gardish-e-ayyam se aage na baDhi

meri madhoshi mere jam se aage na baDhi

dil ki hasrat dil-e-nakaam se aage na baDhi

zindagi maut ke paigham se aage na baDhi

wo gae ghar ke charaghon ko bujha kar mere

phir mulaqat meri sham se aage na baDhi

rah gai ghuT ke tamanna yunhi dil mein ai dost

guftugu apni tere nam se aage na baDhi

wo mujhe chhoD ke ek sham gae the 'nasir'

zindagi apni usi sham se aage na baDhi

(1254) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mai-kashi Gardish-e-ayyam Se Aage Na BaDhi In English By Famous Poet Hakeem Nasir. Mai-kashi Gardish-e-ayyam Se Aage Na BaDhi is written by Hakeem Nasir. Read famous Poem Mai-kashi Gardish-e-ayyam Se Aage Na BaDhi for youth and Student by Hakeem Nasir. Free Download Mai-kashi Gardish-e-ayyam Se Aage Na BaDhi in PDF.