Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_24d009db8f8c8cea514cb55d94572d8c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ishq Kar Ke Dekh Li Jo Bebasi Dekhi Na Thi - Hakeem Nasir Poetry In English - Darsaal

Ishq Kar Ke Dekh Li Jo Bebasi Dekhi Na Thi

ishq kar ke dekh li jo bebasi dekhi na thi

is qadar uljhan mein pahle zindagi dekhi na thi

ye tamasha bhi ajab hai un ke uTh jaane ke baad

main ne din mein is se pahle tirgi dekhi na thi

aap kya aae ki ruKHsat sab andhere ho gae

is qadar ghar mein kabhi bhi raushni dekhi na thi

aap se aankhen mili thin phir na jaane kya hua

log kahte hain ki aisi be-KHudi dekhi na thi

mujh ko ruKHsat kar rahe hain wo ajab andaz se

aankh mein aansu labon par ye hansi dekhi na thi

kis qadar KHush hun main 'nasir' un ko pa lene ke baad

aisa lagta hai kabhi aisi KHushi dekhi na thi

(1816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Kar Ke Dekh Li Jo Bebasi Dekhi Na Thi In English By Famous Poet Hakeem Nasir. Ishq Kar Ke Dekh Li Jo Bebasi Dekhi Na Thi is written by Hakeem Nasir. Read famous Poem Ishq Kar Ke Dekh Li Jo Bebasi Dekhi Na Thi for youth and Student by Hakeem Nasir. Free Download Ishq Kar Ke Dekh Li Jo Bebasi Dekhi Na Thi in PDF.