Is Rah-e-mohabbat Mein To Aazar Mile Hain
is rah-e-mohabbat mein to aazar mile hain
phulon ki tamanna thi magar KHar mile hain
anmol jo insan tha wo kauDi mein bika hai
duniya ke kai aise bhi bazar mile hain
jis ne bhi mujhe dekha hai patthar se nawaza
wo kaun hain phulon ke jinhen haar mile hain
malik ye diya aaj hawaon se bachana
mausam hai ajab aandhi ke aasar mile hain
duniya mein faqat ek zuleKHa hi nahin thi
har yusuf-e-sani ke KHaridar mile hain
ab un ke na milne ki shikayat na gila hai
hum jab bhi mile KHud se to be-zar mile hain
'nasir' ye tamanna thi mohabbat se milenge
wo jab bhi mile bar-sar-e-paikar mile hain
(1030) Peoples Rate This