Hae Wo Waqt-e-judai Ke Hamare Aansu

hae wo waqt-e-judai ke hamare aansu

gir ke daman pe bane the jo sitare aansu

lal o gauhar ke KHazane hain ye sare aansu

koi aankhon se chura le na tumhaare aansu

un ki aankhon mein jo aaen to sitare aansu

meri aankhon mein agar hun to bichaare aansu

daman-e-sabr bhi hathon se mere chhuT gaya

ab to aa pahunche hain palkon ke kinare aansu

aap lillah meri fikr na kije hargiz

aa gae hain yunhi bas shauq ke mare aansu

do ghaDi dard ne aankhon mein bhi rahne na diya

hum to samjhe the banenge ye sahaare aansu

tu to kahta tha na roenge kabhi tere liye

aaj kyun aa gae palkon ke kinare aansu

aaj tak hum ko qalaq hai usi ruswai ka

bah gae the jo bichhaDne pe hamare aansu

mere Thahre hue ashkon ki haqiqat samjho

kar rahe hain kisi tufan ke ishaare aansu

aaj ashkon pe mere tum ko hansi aati hai

tum to kahte the kabhi in ko sitare aansu

is qadar gham bhi na de kuchh na rahe pas mere

aisa lagta hai ki bah jaenge sare aansu

dil ke jalne ka agar ab bhi ye andaz raha

phir to ban jaenge ek din ye sharare aansu

tum ko rimjhim ka nazara jo laga hai ab tak

hum ne jalte hue aankhon se guzare aansu

mere honTon ko to jumbish bhi na hogi lekin

shiddat-e-gham se jo ghabra ke pukare aansu

meri fariyaad suni hai na wo dil mom hua

yunhi bah bah ke mere aaj ye haare aansu

un ko 'nasir' kabhi aankhon se na girne dena

meri aankhon mein inhen lagte hain pyare aansu

(1592) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hae Wo Waqt-e-judai Ke Hamare Aansu In English By Famous Poet Hakeem Nasir. Hae Wo Waqt-e-judai Ke Hamare Aansu is written by Hakeem Nasir. Read famous Poem Hae Wo Waqt-e-judai Ke Hamare Aansu for youth and Student by Hakeem Nasir. Free Download Hae Wo Waqt-e-judai Ke Hamare Aansu in PDF.