Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_21752a7bcf20a51005ccdaad79c5b541, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ai Dost Kahin Tujh Pe Bhi Ilzam Na Aae - Hakeem Nasir Poetry In English - Darsaal

Ai Dost Kahin Tujh Pe Bhi Ilzam Na Aae

ai dost kahin tujh pe bhi ilzam na aae

is meri tabahi mein tera nam na aae

ye dard hai hamdam usi zalim ki nishani

de mujh ko dawa aisi ki aaram na aae

kandhe pe uThae hain sitam rah-e-wafa ke

shikwa mujhe tum se hai ki do-gam na aae

lagta hai ki phailegi shab-e-gham ki siyahi

aansu meri palkon pe sar-e-sham na aae

main baiTh ke pita rahun bas teri nazar se

hathon mein kabhi mere koi jam na aae

baiTha hun diya ghar ka jo 'nasir' main jala ke

aisa na ho phir wo dil-e-nakaam na aae

(1260) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Dost Kahin Tujh Pe Bhi Ilzam Na Aae In English By Famous Poet Hakeem Nasir. Ai Dost Kahin Tujh Pe Bhi Ilzam Na Aae is written by Hakeem Nasir. Read famous Poem Ai Dost Kahin Tujh Pe Bhi Ilzam Na Aae for youth and Student by Hakeem Nasir. Free Download Ai Dost Kahin Tujh Pe Bhi Ilzam Na Aae in PDF.