Wo Jo Ab Tak Lams Hai Us Lams Ka Paikar Bane
wo jo ab tak lams hai us lams ka paikar bane
meri KHwahish bhi ajab hai aaina patthar bane
ek hisar-e-rang mein bas sochta rahta hun main
kis tarah aandhi hawa ki zad pe koi ghar bane
raste panw banen to kaise tai hon raste
nind kaise aaegi jab jism hi bistar bane
KHun-baha kis se talab ho kis ko qatil maniye
aap apni soch hi jab zahr ka KHanjar bane
qatl ho jab tak na suraj ka khilegi kaise sham
rang hi bikhre na to kaise koi manzar bane
ek muddat samna KHud jin ko andhe-pan ka tha
raushni milte hi KHud aankhon ke sauda-gar bane
KHun-e-dil mein Dub jaega to lab par aaega
jis ko main likhun wahi 'manzur' harf-e-tar bane
(973) Peoples Rate This