Sare Mamulat Mein Ek Taza Gardish Chahiye
sare mamulat mein ek taza gardish chahiye
nam zamin par KHushk mausam ki nawazish chahiye
shahr ke aain mein ye mad bhi likkhi jaegi
zinda rahna ho to qatil ki sifarish chahiye
meri mushkil bhagte lamhon ko pakDun kis tarah
zid use an-dekhe KHwabon ki numaish chahiye
bhejta main kis ko subhon ki kunwari raushni
us ko buDhi raat ke rangon ki tabish chahiye
sukhte alfaz ke mausam mein harf-e-tar hun main
phir saza pahle samaat ki nawazish chahiye
jo hamara tha wo nikla aaftabon ka halif
kis KHuda se ab kaha jae ki barish chahiye
baryabi shart-e-KHamoshi pe hai wo is tarah
pahle hi tafsil-e-ahwal-e-guzarish chahiye
buz-dili meri thi jo 'manzur' main zaKHmi hua
wo sipar-bardar the un ki sataish chahiye
(988) Peoples Rate This