Sare Chehre Tanbe Ke Hain Lekin Sab Par Qali Hai
sare chehre tanbe ke hain lekin sab par qali hai
mohmal taba-e-mohmal kya hai donon ka ek mani hai
mante hain aap is ke qad mein us ka qad shamil hi na tha
aage hum kyun bahsen sahab itni baat hi kafi hai
dhan ke kheton ka sab sona kis ne churaya kaun kahe
be-mausam be-fasl abhi tak is izhaar ki dharti hai
andeshe andaze ban kar mere safar ke KHwab bane
har basti mein aa kar socha shayad aage basti hai
us ki sada se gunge lamhe pael jaise bajte hain
bachchon jaisa KHush hota hun jab bhi barish hoti hai
be-mashshata husn ki ganw ganw tha wo kahan gaya
bed ke saya-zaron ne kab pahchan apni khoi hai
malik sat samundaron ki wusat ka hun main lekin
mera dil kyun bhar aata hai jab koi naddi sukhti hai
apne aap se main sharminda hota jo mujrim hota
mere bare mein ye duniya kahne do jo kahti hai
manzur apne dast-e-tahi ko dekh ke tujh se puchhe kyun
harf-e-suKHan ek tere siwa hai kaun si shai jo sasti hai
(1074) Peoples Rate This