Phul Ho Kar Phul Ko Kya Chahna
phul ho kar phul ko kya chahna
jab ye be-angan tha jab tha chahna
zaKHm sare hi hain apne jism-zad
kis sabab un ka tamasha chahna
phir se ho tajdid-e-KHushbu sochiye
chahna aur wo bhi apna chahna
ek mushkil raazdari chahiye
ek mushkil chahaton ka chahna
dast-giri ai nam aankhon wali subh
chahna kya chahna kya chahna
chand ki aayat samundar par paDho
chahna us ko to aisa chahna
hasb-za 'manzur' mera nam hai
kaam mera sab ka achchha chahna
(883) Peoples Rate This