KHud Apne-ap Se Milne Ka Main Apna Irada Hun
KHud apne-ap se milne ka main apna irada hun
main har mausam ko sah kar bhi abhi tak istada hun
azal se mawara rangon se hun ye mera dawa hai
asas-e-rang par jaancho na mujh ko naqsh-e-sada hun
tera saya hai aaina chamakte aaftabon ka
main apne jism mein be-paikari ka ek labaada hun
mujhe hairat, main ek nuqte ki surat kis tarah simTa
KHala hai aankh meri main samundar se kushada hun
mujhe lagti hai duniya ek Thokar apne panw ki
main jaane kaisi ujDi saltanat ka shahzada hun
mujhe lagte hain KHush sab seb surat aaj bhi 'manzur'
ki main apne kisi ahd-e-shikasta ka iada hun
(919) Peoples Rate This