Kab Is Zamin Ki Samt Samundar PalaT Kar Aae
kab is zamin ki samt samundar palaT kar aae
izhaar-e-awwalin ka wo manzar palaT kar aae
jab harf likh diya hai to kyun mushtahar na ho
nikla kaman se tir to kyunkar palaT kar aae
ho sare shahr mein ye munadi ki jashn ho
apni hi saf mein haare dilawar palaT kar aae
ya be-KHabar the wusat-e-dariya-e-rang se
ya chashm-e-be-hunar the shanawar palaT kar aae
bazar pur-hujum KHaridar kam-sawad
chup-chap le ke apne gul-e-tar palaT kar aae
itne baKHil peD na dekhe the aaj tak
be-fasl be-samar mere patthar palaT kar aae
asnam ka hujum kabhi is qadar na tha
in wadiyon mein kaun se aazar palaT kar aae
kya ek khula fusun hai shafaq rang dopahar
kya raat ho gai hai ki shahpar palaT kar aae
'manzur' phir zamin pe ujala ho ek bar
kash ek bar phir wo payambar palaT kar aae
(1099) Peoples Rate This