Ho Aankh Agar Zinda Guzarti Hai Na Kya Kya
ho aankh agar zinda guzarti hai na kya kya
yun aab mein bujhte hue shoale ki sada kya
ai tu ki yaqin hai tujhe shishe ke badan par
ehsas ki dastak par kabhi kan dhara kya
diwar tahi naqsh har ek rang se mayus
kaghaz ke liye mu-e-qalam sang bacha kya
mahfuz hamin reg-hisaron mein hue the
kya warna samundar ka guzar mauj-e-hawa kya
wo shaKHs mere sae se rakhta hai talluq
mera hi yaqin TuT gaya us ka gaya kya
us barf ke insan ki taKHliq meri thi
is dhup ki nagri mein mile us ka pata kya
KHud tir hadon mein hon abhi sach hai ye 'manzur'
us chashm-giraftar ko manunga KHuda kya
(904) Peoples Rate This