Har Ek Aankh Ko Kuchh TuTe KHwab De Ke Gaya
har ek aankh ko kuchh TuTe KHwab de ke gaya
wo zindagi ko ye kaisa azab de ke gaya
na de saka mujhe wusat samundaron ki magar
samundaron ka mujhe iztirab de ke gaya
wo kis liye mera dushman tha jaane kaun tha wo
jo aankh aankh musalsal sarab de ke gaya
KHala ke nam ata kar ke chhanw ki miras
mujhe wo jalta hua aaftab de ke gaya
wo peD unchi chaTanon pe ab bhi tanha hain
unhi ko sari mata-e-sahab de ke gaya
har ek lafz mein rakh kar sarab mani ka
har ek hath mein wo ek kitab de ke gaya
main kul hun aur tu juz mein bhi kul hai ai 'manzur'
bichhaDte waqt mujhe ye KHitab de ke gaya
(1968) Peoples Rate This