Hai Iztirab Har Ek Rang Ko Bikharne Ka
hai iztirab har ek rang ko bikharne ka
ki aaftab nahin raat bhar Thaharne ka
mujassame ki tarah mausamon ko sahta hai
wo muntazir hai koi hadsa guzarne ka
laTakte sukhte ye naqsh yunhi roenge
guzar gaya hai jo mausam tha rang bharne ka
wo aaine se agar ho gaya hai be-parwa
jawaz kya hai use phir kisi se Darne ka
giregi kal bhi yahi dhup aur yahi shabnam
is aasman se nahin aur kuchh utarne ka
ab aag aag hai nile pahaD ka manzar
hamein tha shauq bahut us ke par utarne ka
agarche us ki har ek baat khurduri hai bahut
mujhe pasand hai Dhang us ke baat karne ka
diya hai jis ne bhi chup ka sharap lafzon ko
use KHabar hai nahin lafz koi marne ka
hamein KHabar hai hamare safar ki ai 'manzur'
kahenge hum hi na hai rasta sanwarne ka
(964) Peoples Rate This