Dhal Gaya Jism Mein Aaine Mein Patthar Mein Kabhi
Dhal gaya jism mein aaine mein patthar mein kabhi
chhup saka main na kisi rang ke paikar mein kabhi
main yahi nuqta-e-mauhum rahunga na sada
main jhalak uTThunga aaKHir kisi manzar mein kabhi
wo samundar ki baDai se hai marub ki wo
tishna-lab ban ke raha hai na samundar mein kabhi
tujh pe khul jaenge KHud apne bhi asrar kai
tu zara mujh ko bhi rakh apne barabar mein kabhi
dekhte hain dar-o-diwar harifana mujhe
itna be-bas bhi kahan hoga koi ghar mein kabhi
asl mein kuchh bhi na tha chand lakiron ke siwa
hum bhi rakhte the yaqin harf-e-muqaddar mein kabhi
us se kya puchhte hum apne maani 'manzur'
phul khilte nahin dekhe kisi banjar mein kabhi
(906) Peoples Rate This