ChhoD Kar Mujhko Kahin Phir Usne Kuchh Socha Na Ho
chhoD kar mujh ko kahin phir us ne kuchh socha na ho
main zara dekhun wo agle moD par Thahra na ho
main bhi ek patthar liye tha buz-dilon ki bhiD mein
aur ab ye Dar hai us ne mujh ko pahchana na ho
hum kisi bahrupiye ko jaan len mushkil nahin
us ko kya pahchaniye jis ka koi chehra na ho
us ko alfaz-o-maani ka tasadum kha gaya
ab wo yun chup hai ki jaise muddaton bola na ho
dandnata yun phire hai shahr ki saDkon pe wo
jaise pure shahr mein koi bhi aaina na ho
log kahte hain abhi tak hai wo sargarm-e-safar
mujh ko andesha kahin wo rah mein soya na ho
mujh ko ai 'manzur' yun mahsus hota hai kabhi
jaise sab apne hon jaise koi bhi apna na ho
(848) Peoples Rate This