ChhoD Kar Bar-e-sada Wo Be-sada Ho Jaega
chhoD kar bar-e-sada wo be-sada ho jaega
wahm tha mera ki patthar aaina ho jaega
main baDa masum tha mujh ko KHabar bilkul na thi
mere chhu lete hi wo mera KHuda ho jaega
daera-dar-daera hai sabz jangal surKH aag
kab hawa jage ye manzar kab hawa ho jaega
be-murawwat raston se be-KHabar shayad hai wo
phir kahin par mera us ka samna ho jaega
sat rangon ki jabin par wo likhega apna nam
jab wo apne rang ka aks aashna ho jaega
aaftab us raaz se na-ashna shayad nahin
qaid-e-mehwar se kisi din ye riha ho jaega
hath mein le kar qalam 'manzur' ye socha nahin
karobar-e-lafz mein kya faeda ho jaega
(920) Peoples Rate This