Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0255dd176fd1441ed4c0ad8878a8e1d2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bhejta Hun Har Roz Main Jis Ko KHwab Koi An-dekha Sa - Hakeem Manzoor Poetry In English - Darsaal

Bhejta Hun Har Roz Main Jis Ko KHwab Koi An-dekha Sa

bhejta hun har roz main jis ko KHwab koi an-dekha sa

us ki aankhen sari KHushbu us ka badan aaina sa

us ne bas itna hi pucha sabz chinar ab kitne hain

sar se pa tak laraz uTha main dil pe gira ek shoala sa

chaTTanon ke sine par bhi khul kar jo muskata hai

sar-masti ka sar-chashma hai wo ek pauda nanha sa

logo lab kholo kuchh bolo jhelum hai maTiyala kyun

main ne jab is ko dekha tha ye tha ek aaina sa

barf shagufon ke mausam mein kash ek bar aa jate tum

mere KHaton ki KHushbuon ka hota kuchh andaza sa

phir bhi ai 'manzur' kisi par hath na ab tak uTTha mera

laDne ka fan sikh liya hai go main ne bhi thoDa sa

(888) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhejta Hun Har Roz Main Jis Ko KHwab Koi An-dekha Sa In English By Famous Poet Hakeem Manzoor. Bhejta Hun Har Roz Main Jis Ko KHwab Koi An-dekha Sa is written by Hakeem Manzoor. Read famous Poem Bhejta Hun Har Roz Main Jis Ko KHwab Koi An-dekha Sa for youth and Student by Hakeem Manzoor. Free Download Bhejta Hun Har Roz Main Jis Ko KHwab Koi An-dekha Sa in PDF.