Aziyyaton Ko Kisi Tarah Kam Na Kar Paya
aziyyaton ko kisi tarah kam na kar paya
mein apne hath abhi tak qalam na kar paya
hawale lakh dalil ek bhi na de shayad
nazar mein kyun kisi manzar ko zam na kar paya
hai be-tarash abhi dast-e-zehn mein ek naqsh
ki is ke rang ko main ham-qalam na kar paya
hai sharm tishna-labi us ki jis se bujh jati
mein itna KHun-e-jigar kyun baham na kar paya
tahi-e-samar mere daman ko hi Thaharna tha
main mausamon ke qaside raqam na kar paya
tarawaton se bhara lafz dars hai jis ka
isi se KHud ko abhi tak wo kam na kar paya
sawal-e-sang tha sarzad pa tha mera manzur
main chup raha ki main KHud par sitam na kar paya
(894) Peoples Rate This