Apni Nazar Se TuT Kar Apni Nazar Mein Gum Hua
apni nazar se TuT kar apni nazar mein gum hua
wo baDa ba-shuur tha apne hi ghar mein gum hua
marg-zada the rang sab aaine pusht-e-chashm the
ek wahi dard-mand tha KHauf-o-KHatar mein gum hua
raste aaine bane panw tamam rang the
is pe bhi ye sawal wo kaise safar mein gum hua
soch hawas mein na thi aankh hudud mein na thi
peD hawa mein uD gae sanp khanDar mein gum hua
har KHabar us se thi KHabar aur wo be-panah tha
harf-zada hua to phir ek KHabar mein gum hua
mauj-e-shafaq sarab thi marg-e-nazar KHayal tha
daera aab par raha nuqta bhanwar mein gum hua
mujh mein the jitne aib wo mere qalam ne likh diye
mujh mein tha jitna husn wo mere hunar mein gum hua
(857) Peoples Rate This