Aag Jo Bahar Hai Pahunchegi Andar Bhi
aag jo bahar hai pahunchegi andar bhi
sae jal jaenge aur phir paikar bhi
teri aankhon mein aansu bhi dekhe hain
tere hathon mein dekha hai KHanjar bhi
parakh hai to mujh ko parakh hushyari se
main ek gauhar bhi hun main ek patthar bhi
KHwabon mein bhi rahta hun bechain bahut
chain nahin milta hai mujh ko so kar bhi
kab tak jang laDega tere suraj se
sukhega ek din aaKHir ye sagar bhi
shafaq-e-sham ka din bhar tha arman mujhe
KHun-aluda nikla hai ye manzar bhi
phul ki pati bhi hai bar mujhe 'manzur'
dekhoge to lagta hun ek patthar bhi
(917) Peoples Rate This