Maqsad-e-hayat
zindagi apni numaish-gah-e-masnuat hai
chaar din bijli ke lamp aur phir andheri raat hai
aae hain duniya mein koi kaam karne ke liye
kuchh KHuda se aur kuchh biwi se Darne ke liye
hai jawanon ke liye cinema mein jaana zindagi
jeb mein pai na ho tie lagana zindagi
mah-washon se bagh mein aankhen laDana zindagi
ghusl-KHane mein akele gungunana zindagi
ishq-bazi aur mausiqi nahin to kuchh nahin
aur kuchh kuchh mai se dilchaspi nahin to kuchh nahin
sher kahna bhi bana jata hai juzw-e-zindagi
nam chhap jaana risale mein hai hadd-e-shairi
nasr mein ashaar kah lena hai ek sanat nai
aur agar ye bhi nahin KHali taKHallus hi sahi
nam ke sath ek do alfaz ki dum chahiye
sher phika hi sahi lekin tarannum chahiye
zindagi ka ek maqsad leaderi karna bhi hai
chanda kha kar qaum ki ulfat ka dam bharna bhi hai
mulk par jaan dena lafzi taur par marna bhi hai
is pe murda-baad ke naron se kuchh Darna bhi hai
ban ke leader so rahe to zindagi kis kaam ki
amn qaem ho gaya to leaderi kis kaam ki
maqsad-e-hajjam hai aurat banana mard se
maqsad apna hai Darana but ko aah-e-sard se
zindagi ke aur maqsad bhi hain insan ke liye
koi aiwan ke liye hai koi zindan ke liye
koi gulshan ke liye koi bayaban ke liye
aur ye 'laqlaq' hai to afkar-e-pareshan ke liye
raat din is ka qalam masruf-e-laqlaqyat hai
chaar din ki chandni hai phir andheri raat hai
(1962) Peoples Rate This