Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b7bb6640d4e209534d632eb3e0d4eb03, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bahisht-e-barin - Haji Laq Laq Poetry In English - Darsaal

Bahisht-e-barin

KHuda se dua bahr-e-duniya karenge

ghalat hai ki hum fikr-e-uqba karenge

baDe ho ke council mein jaya karenge

to dil se ye iqrar pakka karenge

ki jannat ki KHatir na jhagDa karenge

bahisht-e-barin le ke hum kya karenge

bahisht-e-barin kya hai bas ek gulshan

farishton ka didar huron ke darshan

har ek jannati be-hunar aur be-fan

na bazm-e-adab aur na radio-station

kahan hum ghazal apni gaya karenge

bahisht-e-barin le ke hum kya karenge

na saman wahan koi wajh-e-masarrat

na ishq-o-mohabbat ki wan koi surat

dinner-suiT kis waqt pahna karenge

bahisht-e-barin le ke hum kya karenge

faqat KHushk mulla aur allahu-akbar

pare zahidon ke sar-e-hauz-e-kausar

na ghoDa na gaDi na Tanga na motor

na shimla pahaDi na cinema na theTar

kahan sham apni guzara karenge

bahisht-e-barin le ke hum kya karenge

suna hai wahan shairi bhi na hogi

aur ushshaq ki be-kali bhi na hogi

bala se jo ye dil-lagi bhi na hogi

sitam to ye hai lanDari bhi na hogi

kahan apne kapDe dhulaya karenge

bahisht-e-barin le ke hum kya karenge

wahan honge bekar qirtas o KHama

na paigham-e-ulfat na maktub-nama

na nowel-nawesi na sher aur Darama

faqat hath mein hoga ek paejama

sienge use aur udheDa karenge

bahisht-e-barin le ke hum kya karenge

zaban bhi wahan hogi ahl-e-arab ki

yahan hum ne sikhi hai english ghazab ki

zaban kaise huron ki samjha karenge

bahisht-e-barin le ke hum kya karenge

haqiqat ko jannat ki hum KHak jaanen

ki utni hi baaten hain jitni zabanen

magar aap is baat ko rast manen

na hongi kahin saDiyon ki dukanen

ye mana ki jannat mein hai KHub raunaq

khile hain chambeli gulab aur zambaq

magar hoga apne liye wo laq-o-daq

nahin honge us mein kabhi haji 'laq-laq'

farishte hamein kab hansaya karenge

bahisht-e-barin le ke hum kya karenge

(1735) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahisht-e-barin In English By Famous Poet Haji Laq Laq. Bahisht-e-barin is written by Haji Laq Laq. Read famous Poem Bahisht-e-barin for youth and Student by Haji Laq Laq. Free Download Bahisht-e-barin in PDF.