Aamadani Aur KHarch
kiraya makan ka ada karne jaun
ki bazzaz o KHayyat ka bil chukaun
dawa laun ya doctor ko bulaun
ki main tex walon se pichha chhuDaun
KHuda-ra batao kahan bhag jaun
main is DheDh aane mein kya kya banaun
bahut baDh gaya hai makan ka kiraya
idhar nal ke aab-e-rawan ka kiraya
baqaya hai 'barq-e-tapan' ka kiraya
zamin par hai ab aasman ka kiraya
hai bachchon ki fees aur chanda zaruri
kutub copiyon ka pulanda zaruri
shikam-parwari ka hai dhanda zaruri
ye aadam ki ijad-e-banda zaruri
bala ke masarif hain kya tab laun
main is DheDh aane mein kya kya banaun
azizon ki imdad mehman-nawazi
gharibon ko KHairaat ehsan-taraazi
KHurak aur poshak mein duniya-sazi
idhar film ka shauq aur udhar ishq-bazi
zaruri yahan cigarette aur pan bhi hai
adalat mein jaane ka imkan bhi hai
hai bhangi bhi dhobi bhi darban bhi hai
aur ek saDi wale ki dukan bhi hai
kahan jaun kis kis se pichha chhuDaun
main is DheDh aane mein kya kya banaun
hain mele bhi islami tyauhaar bhi hain
hum aise mawaqe pe KHuddar bhi hain
bahut KHarch karne ko tayyar bhi hain
bala se jo be-barg-o-be-bar bhi hain
kise dastan-e-masarif sunaun
main is DheDh aane mein kya kya banaun
(1147) Peoples Rate This