Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_99655fab0ec3c5a9ae93dea1eac2ab83, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kya Un Ko Dil Ka Haal Sunane Se Faeda - Haji Laq Laq Poetry In English - Darsaal

Kya Un Ko Dil Ka Haal Sunane Se Faeda

kya un ko dil ka haal sunane se faeda

hoga to hoga note dikhane se faeda

nok-e-mizha jo dil mein chubhi dil phaDak uTha

kuchh to hua hai Tika karane se faeda

dil gum hai apna chor ka lekin pata nahin

aashiq ko kya police ke thane se faeda

malum hai dikhate hain wo hum ko sabz bagh

lawrence-bagh sham ko jaane se faeda

ab bhi wo kah rahe hain ki mere buzurg ho

kuchh bhi hua na shew karane se faeda

jo niche jeb ke hai meri jaan use chura

aashiq ka fountain churane se faeda

'laq-laq' zamana hum se uThata hai faede

hum ne bhi kuchh uThaya zamane se faeda

(975) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Un Ko Dil Ka Haal Sunane Se Faeda In English By Famous Poet Haji Laq Laq. Kya Un Ko Dil Ka Haal Sunane Se Faeda is written by Haji Laq Laq. Read famous Poem Kya Un Ko Dil Ka Haal Sunane Se Faeda for youth and Student by Haji Laq Laq. Free Download Kya Un Ko Dil Ka Haal Sunane Se Faeda in PDF.