Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a65034bac92625023ed98d2fbb59900b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har ChoT Par Zamane Ki Hum Muskurae Hain - Hairat Saharvardi Poetry In English - Darsaal

Har ChoT Par Zamane Ki Hum Muskurae Hain

har choT par zamane ki hum muskurae hain

lekin tere KHayal mein aansu bahae hain

had ko pahunch gai hai meri na-mardiyan

manzil ke pas aa ke qadam Dagmagae hain

ai zulf-e-kaenat tujhe kya KHabar ki hum

kin pech o KHam se chhuT ke tere pas aae hain

ai jaan-e-kaenat tere intizar mein

hum ne kai charagh jalae bujhae hain

jo chal paDe the azm-e-safar le ke thak gae

jo laDkhaDa rahe the wo manzil pe aae hain

'hairat' nizam-e-kohna ki tarikiyon mein bhi

hum ne nizam-e-taza ke dipak jalae hain

(719) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har ChoT Par Zamane Ki Hum Muskurae Hain In English By Famous Poet Hairat Saharvardi. Har ChoT Par Zamane Ki Hum Muskurae Hain is written by Hairat Saharvardi. Read famous Poem Har ChoT Par Zamane Ki Hum Muskurae Hain for youth and Student by Hairat Saharvardi. Free Download Har ChoT Par Zamane Ki Hum Muskurae Hain in PDF.