Aaina Dekhta Hun Nazar Aa Rahe Ho Tum
aaina dekhta hun nazar aa rahe ho tum
kitne qarib mujh se hue ja rahe ho tum
ye kya fareb hai ki jo farma rahe ho tum
main KHud ko DhunDhta hun mile ja rahe ho tum
tum ko ye pech-o-tab ki mushkil hai meri rah
mujh ko ye iztirab ki ghabra rahe ho tum
itna bhi kar sakega na kya mera dast-e-shauq
kyun zulf-e-kaenat ko suljha rahe ho tum
tum ho tumhaara main hun tumhaari bahaar hai
ye kis ko dekh dekh ke sharma rahe ho tum
aaankhon mein ashk dil mein KHalish lab pe hai fughan
ye KHud taDap rahe ho ki taDpa rahe ho tum
mera chaman to hai magar apna kahun na main
han main samajh raha hun jo samjha rahe ho tum
hai un ko naz parda-e-mah-o-nujum par
kaise kahun ki saf nazar aa rahe ho tum
rah rah ke kaundti hain andhere mein bijliyan
tum yaad kar rahe ho ki yaad aa rahe ho tum
is ka malal hai ki sitam sah rahe hain hum
is ka gila nahin ki sitam Dha rahe ho tum
(1153) Peoples Rate This