Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4449cfbebede1c25222445c865eca311, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Suna Hai ZaKHmi-e-tegh-e-nigah Ka Dam Nikalta Hai - Hairat Allahabadi Poetry In English - Darsaal

Suna Hai ZaKHmi-e-tegh-e-nigah Ka Dam Nikalta Hai

suna hai zaKHmi-e-tegh-e-nigah ka dam nikalta hai

tera arman le ai qatil-e-alam nikalta hai

na aankhon mein murawwat hai na ja-e-rahm hai dil mein

jahan mein bewafa mashuq tum sa kam nikalta hai

kaha aashiq se waqif ho to farmaya nahin waqif

magar han is taraf se ek na-mahram nikalta hai

mohabbat uTh gai sare zamane se magar ab tak

hamare doston mein ba-wafa ek gham nikalta hai

pata qasid ye rakhna yaad us qatil ke kuche se

koi nalan koi bismil koi be-dam nikalta hai

(969) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Suna Hai ZaKHmi-e-tegh-e-nigah Ka Dam Nikalta Hai In English By Famous Poet Hairat Allahabadi. Suna Hai ZaKHmi-e-tegh-e-nigah Ka Dam Nikalta Hai is written by Hairat Allahabadi. Read famous Poem Suna Hai ZaKHmi-e-tegh-e-nigah Ka Dam Nikalta Hai for youth and Student by Hairat Allahabadi. Free Download Suna Hai ZaKHmi-e-tegh-e-nigah Ka Dam Nikalta Hai in PDF.