Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fd34bd7dba963adfb6940ec15e617cdf, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mere Uske Darmiyan Jo Fasla Rakkha Gaya - Haidar Qureshi Poetry In English - Darsaal

Mere Uske Darmiyan Jo Fasla Rakkha Gaya

mere us ke darmiyan jo fasla rakkha gaya

us ke tai karne ko bhi ek rasta rakkha gaya

aks kho jaen agar halka sa kankar bhi gire

paniyon mein ek aisa aaina rakkha gaya

sab taqaze waise pure ho gae insaf ke

bas faqat mahfuz mera faisla rakkha gaya

na-rasai ki aziyyat hi rahi apna nasib

mil gai ruhen to jismon ko juda rakkha gaya

bhar ke aaankhon mein sulagte KHwab us ki yaad ke

mujh ko sote mein bhi 'haidar' jagta rakkha gaya

(842) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Uske Darmiyan Jo Fasla Rakkha Gaya In English By Famous Poet Haidar Qureshi. Mere Uske Darmiyan Jo Fasla Rakkha Gaya is written by Haidar Qureshi. Read famous Poem Mere Uske Darmiyan Jo Fasla Rakkha Gaya for youth and Student by Haidar Qureshi. Free Download Mere Uske Darmiyan Jo Fasla Rakkha Gaya in PDF.