Fasl-e-gham Ki Jab Nau-KHezi Ho Jati Hai
fasl-e-gham ki jab nau-KHezi ho jati hai
dard ki maujon mein bhi tezi ho jati hai
pani mein bhi chand sitare ug aate hain
aankh se dil tak wo zarKHezi ho jati hai
andar ke jangal se aa jati hain yaaden
aur faza mein sandal-bezi ho jati hai
KHushiyan gham mein bilkul ghul-mil si jati hain
aur nashat mein gham-angezi ho jati hai
shirin se lahje mein bhar jati hai talKHi
hila-jui jab parwezi ho jati hai
be-had power jis ko bhi mil jae us ki
tarz yazidi ya changezi ho jati hai
ghazlon mein waise to sach kahta hun lekin
kuchh na kuchh to rang-amezi ho jati hai
husn tumhaara to hai sach aur KHair sarapa
hum se hi bas shar-angezi ho jati hai
zahir ka parda haTne wali manzil par
salik se bhi bad-parhezi ho jati hai
'rumi' ko 'haidar' jab bhi paDhne lagta hun
baatin ki duniya tabrezi ho jati hai
(806) Peoples Rate This