Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9bceb9583141412207ffd6af38222612, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab Ke Usne Kamal Kar Dala - Haidar Qureshi Poetry In English - Darsaal

Ab Ke Usne Kamal Kar Dala

ab ke us ne kamal kar Dala

ek KHushi se niDhaal kar Dala

chand ban kar chamakne wale ne

mujh ko suraj-misal kar Dala

pahle gham se nihaal karta tha

ab KHushi se nihaal kar Dala

ek haqiqat ke rup mein aa kar

mujh ko KHwab-o-KHayal kar Dala

dukh-bhare dil se dukh hi chhin liye

aur jina wabaal kar Dala

ek KHush-KHat se shaKHs ne 'haidar'

hum ko bhi KHush-KHayal kar Dala

(869) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Ke Usne Kamal Kar Dala In English By Famous Poet Haidar Qureshi. Ab Ke Usne Kamal Kar Dala is written by Haidar Qureshi. Read famous Poem Ab Ke Usne Kamal Kar Dala for youth and Student by Haidar Qureshi. Free Download Ab Ke Usne Kamal Kar Dala in PDF.