Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f6846e6696fb2e9b694237dc55bef8b4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aap Logon Ke Kahe Par Hi UkhaD Jate Hain - Haidar Qureshi Poetry In English - Darsaal

Aap Logon Ke Kahe Par Hi UkhaD Jate Hain

aap logon ke kahe par hi ukhaD jate hain

log to jhuT bhi sau tarah ke ghaD jate hain

aankh kis tarah khule meri ki main jaanta hun

aankh khulte hi sabhi KHwab ujaD jate hain

gham tumhaara nahin jaanan hamein dukh apna hai

tum bichhaDte ho to hum KHud se bichhaD jate hain

log kahte hain ki taqdir aTal hoti hai

hum ne dekha hai muqaddar bhi bigaD jate hain

wo jo 'haidar' mere munkir the mere zikr pe ab

chaunk uThte hain kisi soch mein paD jate hain

(781) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aap Logon Ke Kahe Par Hi UkhaD Jate Hain In English By Famous Poet Haidar Qureshi. Aap Logon Ke Kahe Par Hi UkhaD Jate Hain is written by Haidar Qureshi. Read famous Poem Aap Logon Ke Kahe Par Hi UkhaD Jate Hain for youth and Student by Haidar Qureshi. Free Download Aap Logon Ke Kahe Par Hi UkhaD Jate Hain in PDF.