Na Sar Chhupane Ko Ghar Tha Na Aab-o-dana Tha
na sar chhupane ko ghar tha na aab-o-dana tha
zamane bhar ki nigahon ka main nishana tha
bhula na paya use jis ko bhul jaana tha
wafaon se mera rishta bahut purana tha
jo aks-e-ghair ki tabish mein DhunDta tha jila
us aaine ko bikharna tha TuT jaana tha
dariche mazi ke khulne lage to yaad aaya
yahin kahin kisi Dali pe aashiyana tha
sile mein kya mujhe milta jo aur ruk jata
tere KHutut ko ek roz to jalana tha
jahan pe tair-e-fikr-e-suKHan ke par silte
wahin pe aql-o-KHirad ka naya Thikana tha
lahu ka rang chaTanon ke aabshaaron mein
unhen nasheb mein dariya-e-KHun bahana tha
qaba-e-surKH siyah baadalon ne oDhi thi
kisi ke jurm se parda unhen uThana tha
wo ek halke tabassum ki kaT sah na saka
sitam ka war bhi kis darja buzdilana tha
tamam shorishen saffakiyan uruj pe thin
bil-aKHir un ko adalat se chhuT jaana tha
dukan lagae hun TuTe hue khilaune ki
ki bhulta nahin bachpan bhi kya zamana tha
(944) Peoples Rate This