Mata-e-dard Ka KHugar Meri Talash Mein Hai
mata-e-dard ka KHugar meri talash mein hai
kisi ka bheja payambar meri talash mein hai
hun main hi nuqta-e-aghaz iKHtitam-e-hisar
har ek hisar ka mehwar meri talash mein hai
mili hai auj KHudi ko yaqin-e-mohkam se
suna hai marzi-e-dawar meri talash mein hai
wo ek sai jise kahte hain hum sabhi idrak
wo mere jism ke andar meri talash mein hai
sabhi to dost hain kyun shak abas hua mujh ko
kisi ke hath ka patthar meri talash mein hai
mere KHuda main hun tujh se panah ka talib
mere gunahon ka lashkar meri talash mein hai
mere hi lams se ghunchon ne pai shadabi
chaman mein khilta gul-e-tar meri talash mein hai
kahin se sun liya hai meri pyas ka charcha
tabhi se pyasa samundar meri talash mein hai
laga hai sochne ahd-e-rawan ka 'marhab' bhi
bachunga kis tarah 'haidar' meri talash mein hai
(1125) Peoples Rate This