Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d7fb82cc25a1cc53543ab03778ab1324, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Irtikab-e-jurm Shar Ki Baat Hai - Haidar Ali Jafri Poetry In English - Darsaal

Irtikab-e-jurm Shar Ki Baat Hai

irtikab-e-jurm shar ki baat hai

aur bari hona hunar ki baat hai

ek kahani hai ki sadiyon par muhit

sochne mein dopahar ki baat hai

aae Thahre aur rawana ho gae

zindagi kya hai, safar ki baat hai

ek shoala sa lapak kar rah gaya

ye hayat-e-muKHtasar ki baat hai

naseha gar ho sake manzil pe mil

zindagi to rah-guzar ki baat hai

shadi-o-gham par karen kya tabsira

tere mere sab ke ghar ki baat hai

raste to hain magar manzil nahin

kya hamare rahbar ki baat hai

ab to dukanon pe bikti hai wafa

dosto ifraat-e-zar ki baat hai

baal-o-par hote to kyun hote asir

qaid mein kyun baal-o-par ki baat hai

mutmain koi nahin haalat se

sham ke lab par sahar ki baat hai

har qawi ko hai wahan jaane ka haq

dasht ki aur bahr-o-bar ki baat hai

murdani zail ho ya baqi rahe

ye tere husn-e-nazar ki baat hai

(848) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Irtikab-e-jurm Shar Ki Baat Hai In English By Famous Poet Haidar Ali Jafri. Irtikab-e-jurm Shar Ki Baat Hai is written by Haidar Ali Jafri. Read famous Poem Irtikab-e-jurm Shar Ki Baat Hai for youth and Student by Haidar Ali Jafri. Free Download Irtikab-e-jurm Shar Ki Baat Hai in PDF.