Ye Kis Rashk-e-masiha Ka Makan Hai
ye kis rashk-e-masiha ka makan hai
zamin yan ki chahaarum aasman hai
KHuda pinhan hai aalam aashkara
nihan hai ganj virana ayan hai
dil-e-raushan hai raushan-gar ki manzil
ye aaina sikandar ka makan hai
takalluf se bari hai husn-e-zati
qaba-e-gul mein gul-buTa kahan hai
pasijega kabhi to dil kisi ka
hamesha apni aahon ka dhuan hai
ba-rang-e-bu hun gulshan mein main bulbul
baghal ghunche ke mera aashiyan hai
shagufta rahti hai KHatir hamesha
qanaat bhi bahaar-e-be-KHizan hai
chaman ki sair par hota hai jhagDa
kamar meri hai dast-e-baghban hai
bahut aata hai yaad ai sabr-e-miskin
KHuda KHush rakkhe tujh ko tu jahan hai
ilahi ek dil kis kis ko dun main
hazaron but hain yan hindostan hai
yaqin hota hai KHushbui se is ke
kisi gul-ru ka ghuncha itr-dan hai
watan mein apne ahl-e-shauq ki tarah
safar mein roz-o-shab reg-e-rawan hai
sahar howe kahin shabnam kare kuch
gul o bulbul ka dariya darmiyan hai
saadat-mand qismat par hain shakir
huma ko maghz-e-baadam ustuKHwan hai
dil-e-betab jo is mein gire hain
zaqan jaanan ka para ka kuan hai
jaras ke sath dil rahte hain nalan
mere yusuf ka aashiq karwan hai
na kah rindon ko harf-e-saKHt waiz
durusht ahl-e-jahannum ki zaban hai
qad-e-mahbub ko shaer kahen sarw
qayamat ka ye ai 'atish' nishan hai
(1620) Peoples Rate This