Ye Aarzu Thi Tujhe Gul Ke Ru-ba-ru Karte
ye aarzu thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte
hum aur bulbul-e-betab guftugu karte
payambar na mayassar hua to KHub hua
zaban-e-ghair se kya sharh-e-arzu karte
meri tarah se mah-o-mehr bhi hain aawara
kisi habib ki ye bhi hain justuju karte
hamesha rang-e-zamana badalta rahta hai
safed rang hain aaKHir siyah mu karte
luTate daulat-e-duniya ko mai-kade mein hum
tilai saghar-e-mai nuqrai subu karte
hamesha main ne gareban ko chaak chaak kiya
tamam umr rafugar rahe rafu karte
jo dekhte teri zanjir-e-zulf ka aalam
asir hone ki aazad aarzu karte
bayaz-e-gardan-e-jaanan ko subh kahte jo hum
sitara-e-sahari takma-e-gulu karte
ye kabe se nahin be-wajh nisbat-e-ruKH-e-yar
ye be-sabab nahin murde ko qibla-ru karte
sikhate nala-e-shab-gir ko dar-andazi
gham-e-firaq ka us charKH ko adu karte
wo jaan-e-jaan nahin aata to maut hi aati
dil-o-jigar ko kahan tak bhala lahu karte
na puchh aalam-e-bargashta-talai 'atish'
barasti aag jo baran ki aarzu karte
(1911) Peoples Rate This