Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_74fo8hrcdofmnjj0v7a0tvnpj6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Yar Ko Maine Mujhe Yar Ne Sone Na Diya - Haidar Ali Aatish Poetry In English - Darsaal

Yar Ko Maine Mujhe Yar Ne Sone Na Diya

yar ko main ne mujhe yar ne sone na diya

raat bhar tala-e-bedar ne sone na diya

KHak par sang-e-dar-e-yar ne sone na diya

dhup mein saya-e-diwar ne sone na diya

sham se wasl ki shab aankh na jhapki ta-subh

shadi-e-daulat-e-didar ne sone na diya

ek shab bulbul-e-betab ke jage na nasib

pahlu-e-gul mein kabhi KHar ne sone na diya

jab lagi aankh karaha ye ki bad-KHwab kiya

nind bhar kar dil-e-bimar ne sone na diya

dard-e-sar sham se us zulf ke saude mein raha

subh tak mujh ko shab-e-tar ne sone na diya

raat bhar kin dil-e-betab ne baaten mujh se

ranj o mehnat ke giraftar ne sone na diya

sail-e-girya se meri nind uDi mardum ki

fikr-e-baam-o-dar-o-diwar ne sone na diya

bagh-e-alam mein rahin KHwab ki mushtaq aankhen

garmi-e-atish-e-gulzar ne sone na diya

sach hai gham-KHwari-e-bimar azab-e-jaan hai

ta-dam-e-marg dil-e-zar ne sone na diya

takiya tak pahlu mein us gul ne na rakkha 'atish'

ghair ko sath kabhi yar ne sone na diya

(3462) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yar Ko Maine Mujhe Yar Ne Sone Na Diya In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Yar Ko Maine Mujhe Yar Ne Sone Na Diya is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Yar Ko Maine Mujhe Yar Ne Sone Na Diya for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Yar Ko Maine Mujhe Yar Ne Sone Na Diya in PDF.