Wo Naznin Ye Nazakat Mein Kuchh Yagana Hua
wo naznin ye nazakat mein kuchh yagana hua
jo pahni phulon ki baddhi to dard-e-shana hua
shahid naz-o-ada ka tere zamana hua
uDaya mehndi ne dil chor ka bahana hua
shab us ke afai-e-gesu ka jo fasana hua
hawa kuchh aisi bandhi gul charagh-e-KHana hua
na zulf-e-yar ka KHaka bhi kar saka mani
har ek baal mein kya kya na shaKHsana hua
tawangaron ko mubarak ho sham-e-kafuri
qadam se yar ke raushan gharib-KHana hua
gunahgar hain mehrab-e-tegh ke sajid
jhukaya sar to ada farz-e-panj-gana hua
ghurur-e-ishq ziyaada ghurur-e-husn se hai
idhar to aankh bhari dam udhar rawana hua
dikha de zahid-e-maghrur ko bhi ai sanam aankh
jamal-e-hur ka had se siwa fasana hua
bhara hai shisha-e-dil ko nai mohabbat se
KHuda ka ghar tha jahan wan sharab-KHana hua
hawae tund na chhoDe mere ghubar ka sath
ye gard-e-rah kahan KHak-e-astana hua
KHuda ke waste kar yar chin-e-abru dur
baDa hi aib laga jis kaman mein KHana hua
hua jo din to hua us ko pas ruswai
jo raat aai to phir nind ka bahana hua
na puchh haal mera chob-e-KHushk-e-sahra hun
laga ke aag mujhe karwan rawana hua
nigah-e-naz-e-butan se na chashm-e-rahm bhi rakh
kisi ka yar nahin fitna-e-zamana hua
asar kiya tapish-e-dil ne aaKHir us ko bhi
raqib se bhi mera zikr ghaebana hua
hawae tund se patta agar koi khaDka
samand-e-baad-e-bahaari ka taziyana hua
zaban-e-yar KHamoshi ne meri khulwai
main qufl ban ke kalid-e-dar-e-KHazana hua
kiya jo yar ne kuchh shaghl-e-barq-andazi
charagh-e-zindagi-e-KHizar tak nishana hua
raha hai chah-e-zaqan mein mera dil-e-wahshi
kunen mein jangali kabutar ka aashiyana hua
KHuda daraaz kare umr-e-charKH-e-nili ko
ye be-kason ke mazaron ka shamiyana hua
nahin hai misl-e-sadaf mujh sa dusra kam-baKHt
nasib-e-ghair mere munh ka aab-o-dana hua
hinai hathon se choTi ko kholta hai yar
kahan se panja-e-marjaan harif-e-shana hua
dikhai chashm-e-ghazalan ne halqa-e-zanjir
hamein to gosha-e-sahra bhi qaid-KHana hua
hamesha sham se ham-sae mar rahe 'atish'
hamara nala-e-dil gosh ko fasana hua
(2316) Peoples Rate This