Turra Use Jo Husn-e-dil-azar Ne Kiya
turra use jo husn-e-dil-azar ne kiya
andher gesu-e-siyah-e-yar ne kiya
gul se jo samna tere ruKHsar ne kiya
mizhgan ne wo kiya ki jo kuchh KHar ne kiya
naz-o-ada ko tark mere yar ne kiya
ghamza naya ye turk sitamgar ne kiya
afshan se kushta abru-e-KHamdar ne kiya
jauhar se kaam yar ki talwar ne kiya
qamat teri dalil qayamat ki ho gai
kaam aaftab-e-hashr ka ruKHsar ne kiya
meri nigah ke rashk se rauzan ko chandi
raKHna ye qasr-e-yar ki diwar ne kiya
sauda-e-zulf mein mujhe aaya KHayal-e-ruKH
mushtaq raushni ka shab-e-tar ne kiya
hasrat hi bosa-e-lab-e-shirin ki rah gai
miTha na munh ko tere namak-KHwar ne kiya
fursat mili na girya se ek lahza ishq mein
pani mere lahu ko is aazar ne kiya
simab ki tarah se shagufta hua mizaj
iksir mujh ko mere KHaridar ne kiya
qad mein to kar chuka tha wo ahmaq barabari
majbur sarw ko teri raftar ne kiya
hairat se pa-ba-gil hue rauzan ko dekh kar
diwar hum ko yar ki diwar ne kiya
patthar ke aage sajda kya tu ne barhaman
kafir tujhe tere but-e-pindar ne kiya
kawish mizha ne ki ruKH-e-dilbar ki did mein
pa-e-nigah se bhi KHalish KHar ne kiya
aashiq ki tarah main jo laga karne bandagi
aazad dagh de ke KHaridar ne kiya
eajaz ka ojab lab-e-jaan-baKHsh se nahin
paighambar us ko mushaf-e-ruKHsar ne kiya
turra ki tarah se dil-e-ashiq ko pech mein
kis kis lapeT se teri dastar ne kiya
aankhon ko band kar ke tasawwur mein bagh ke
gulshan qafas ko murgh-e-giraftar ne kiya
nalan hua main us ruKH-e-rangin ko dekh kar
bulbul mujhe nazara-e-gulzar ne kiya
hakla ke mujh se baat jo us dil-ruba ne ki
kis husn se ada use takrar ne kiya
ulTa udhar naqab to parde paDe idhar
aankhon ko band jalwa-e-didar ne kiya
lazzat ko tark kar to ho duniya ka ranj dur
parhez bhi dawa hai jo bimar ne kiya
na-saf aaina ho to bad-tar hai sang se
raushan ye haal hum ko jalakar ne kiya
halqa ki naf-e-yar ke tarif kya karun
gol aisa daera nahin parkar ne kiya
diwan-e-husn-e-yar ki 'atish' jo sair ki
diwana bait abru-e-KHamdar ne kiya
(1049) Peoples Rate This