Taza Ho Dimagh Apna Tamanna Hai To Ye Hai
taza ho dimagh apna tamanna hai to ye hai
us zulf ki bu sunghiye sauda hai to ye hai
qainchi nahin chalwai mere nama ne kis par
parwar kabutar ho jo anqa hai to ye hai
kuchh sarw ka rutba hi nahin qad se tere past
shamshad-o-sanobar se bhi baala hai to ye hai
milta jo nahin yar to hum bhi nahin milte
ghairat ka ab apne bhi taqaza hai to ye hai
ai nur-e-nazar moajaza-e-husn se tere
andhe bhi kahenge ki masiha hai to ye hai
mahshar ko bhi didar ka parda na kare yar
aashiq ko jo andesha-e-farda hai to ye hai
bina hon jo aankhen to ruKH-e-yar ko dekhen
nazzara ke qabil jo tamasha hai to ye hai
mazmun dahan-e-yar ka kya fikr se nikle
la-hal jo moammon mein muamma hai to ye hai
gah yaad-e-sanam dil mein hai gah yaad-e-ilahi
kaba hai to ye hai jo kalisa hai to ye hai
mashuq o mai o KHana-e-KHali o shab-e-mah
aashiq ke liye hasil-e-duniya hai to ye hai
diwane na kyun-kar KHal-o-zanjir pahante
sarkar-e-junun ka jo sarapa hai to ye hai
dil ke liye hai ishq to dil ishq ki KHatir
mai hai to ye hai aur jo mina hai to ye hai
diwana-e-qad ke kabhi nalon ko to suniye
hangama-e-mahshar ka sa ghaugha hai to ye hai
sabit dahan-e-yar dalilon se kar 'atish'
hujjat ki jo shaer ke liye ja hai to ye hai
(1060) Peoples Rate This